Tuesday, December 9, 2008

Kooye- tanhaayi mein khush hun..

Voh bejaa koshishein karte hain manane ki.

Aur humein aadat nahi hai aazmaane ki..

Meri fikr na kar ; hain mere ahbaab bahut.

Kya hua jo hain tanz nigaahein zamane ki.

Rahbar na sahi; chalo anzaan hi sahi.

Jahan mein kaun karta hai parwah anzaane ki.

Ik musht yun dene the ashqon ke tohfe.

Jarurat hi kya thi ik muddat hansaane ki..

Sare-shaam kar diya tanha bazme-jahan mein.

Uss pe saza di khud ko bhulaane ki..

Khush thi main; falak pe chaand nihaar ke.

Kyun ki jurarrat usko aangan mein bulane ki.

Kooye- tanhaayi mein khush hun be-inteha..

Chaahat nahi fir koi mehfil sazaane ki..

Adaawat ki ahmiyat jarre se bhi kam hai.

Aur naa jarurat rahi doston ke samjhaane ki.

‘roshan-ae-khyaal’ tassavur badal badal jaate hain.

Fir vajah kya hai sukhan ke thehar jaane ki..

**********

ankita

7 comments:

Ram Mani Pandey said...

zindgi mere....
aapne ye panktiya likhkar har ek ke dil ko chhu liya. jo pada esi o aapki sayri ka aashik ho gaya
lekin aapne bhut dino se kuchh likha nhi kya baat h

Unknown said...

I don't even have words. I never knew that my lil sis is a poet too.
--Poonam

Poonam Mor said...

I don't know why my previous comment shows wrong name. :) Keep it up...

Gagan said...

har vo lafaj jo samajh aata mujhe
beinteha he choo jata hai vo dil ko
najane kahan se phauche hum dastak par teray
daad diye bagair na uthege kadam vapas jane ko

tanhaayi mai he khush ho tum
hum to doond te hai Khusio mai tanhaayi ko
bojhta sa deep he kafi hota hai kabhi, tanhaayi say mehfil mai aane ko

kabhi waqt mila, do garhi baithe gaye dawa khane par teray
Mehfil na sahi bas maraj he hoga tujhe batane ko

Ankita said...

ram mani ji...
shukriya aapka...

jaldi post karungi ..

Ankita said...

hey gogi..
thanku very very much..
i was not expecting ur comment.. n now u have read me..my happiness is just doubled..u 9 why..
its always so goody gud feeling to be appreciated by ur luvd ones who r really near n dear to u..

luv..
ullas..

Ankita said...

gagan ji..

bahut shukriya daad dene ka..
vaise aap bhi kya khoob likhte hain.

kya nadaaz-ae-bayaan hain..

thanks alot aagin..